ye madare asghar ne kaha khaak udakar
asghar tujhe dhoondun mai kahan dasht may jaa kar
hai zakhm galay may bhala neend aayegi kaise
aajao suladun tumhe seene se laga kar
ye madare asghar...
sannata hai maqtal may andhera bhi bahot hai
aise may meri jaan kahan rehgaye jaa kar
ye madare asghar...
kyun aate nahi laal mere godh may mere
kya milta hai is dard ki maari ko rula kar
ye madare asghar...
pani to nahi ashkon se moo saaf karungi
is chand se chehre pe lagi khaak hata kar
ye madare asghar...
poshak badalwaungi suljhaungi zulfein
armaan se dekhungi tumhe dulha bana kar
ye madare asghar...
tum reh gaye maqtal may khayaal aaya na tumko
maa kis ko sulayegi kaleje se laga kar
ye madare asghar...
be-maqna o chadar hoo haya aati hai warna
mai khud hi tumhe dhoondti maidan may aa kar
ye madare asghar...
alfaaz ye nauhe ke nahi likhe hai gohar
laaya hoo jigar paaron ko kaagaz pe saja kar
ye madare asghar...