zere qadam hai qabr ki manzil
aagay hashr ka maidan hai
zeest ke lehro soch ke badna
haath mein kiska daaman hai
kehte thay ansare shahe deen aaj hai din qurbani ka
jisne lagadi jaan ki baazi haath usi ke maidan hai
zere qadam hai…
sirf gala bache ka nahi hai tera nishana ay zaalim
teer chalane wale sunle teer ki zad par quran hai
zere qadam hai…
shesh mahe ki qabr bana kar aankh mein aansu aa hi gaye
zabt ki koi had hoti hai insan aakhir insan hai
zere qadam hai…
kaamp raha hai uska kaleja teer hai jiski chutki mein
honton par hai uske tabassum jiske galay mein paika hai
zere qadam hai…
kehti thi bano ay mere asghar tu jo nahi kya chain aaye
jhoola khaali godi ujdi ghar soona dil veeran hai
zere qadam hai…
aah ye majboori ka aalam uff ye aseeri ye ghurbat
sar pe rida khwahar ke nahi hai laashe baradar uryan hai
zere qadam hai…