Kanz e Aza

Aa Gaye Asghar Bhi Run Mein Deen Bachanay Kay Liye

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Ambia Ka Main Hu Nasir (x2)

Yeh Batanay Kay Liye


Hurmula Teri Kama Ko Taud Kay Rakh Dounga Main (x2)

Aaya Huun Main Naam Tera (x2)

Hi Mitanay Kay Liye


Jab Kama Hurmal Ki Dekhi Boli Khaimon Say Rubab (x2)

Ab Raho Taiyar Asghar (x2)

Teer Khanay Kay Liye


Hashr Tak Karti Rahay Gi Intezar Umme Rubab (x2)

Gaud Main Jhuulay Kay Aadhi (x2)

Ko Jhoolanay Kay Liye


Tha Kayamat Ka Sama Muntaz Pyason Ki Vo Shaam (x2)

Aagaye Zahra Kay Ghar Ko (x2)

Phir Jaalanay Kay Liye