furqat mein sakina ki roye
baysheer ka jhoola yaad kare
ya hussain ya hussain
ya hussain ya hussain
tum shaam e mazaar e zehra ho
tum raunak e gumbat e khizra ho
kaise na tumhe mere baba
nana ka madina yaad kare
aa jao ke sughra yaad kare
ya hussain ya hussain...
jaldi se palat aao ghar mein
sayyeda utha kar godhi mein
beemar behan kab tak baba
asghar ka humakna yaad kare
aa jao ke sughra yaad kare
ya hussain ya hussain...
khat mera dikha kar kahiyega
bhaiya ali akbar se itna
ay yusuf e aal e paigambar
aa jao madina yaad kare
aa jao ke sughra yaad kare
ya hussain ya hussain...
khat de ke mera baba ko
ehsaan ye karna ay qasid
abbas chacha se keh dena
ro ro ke sughra yaad kare
aa jao ke sughra yaad kare
ya hussain ya hussain...
ay baad e saba jab karbobala
jaana ho to itna keh dena
pardes mein jaane walon ko
dukhiya aaj sughra yaad kare
aa jao ke sughra yaad kare
ya hussain ya hussain...
khamosh hai deewarein saari
veeran pade hai baam o dar
ay shamme haram ay shaan e nabi
mabood ka kaaba yaad kare
aa jao ke sughra yaad kare
ya hussain ya hussain...
wo ruqsat e aakhir ka manzar
wo lachak ke jaane ooton ka
dil mera abhi tak ay baba
phupiyon se lipatna yaad kare
aa jao ke sughra yaad kare
ya hussain ya hussain...
allah ko saumpa hai tum ko
ay aal e mohamed jao magar
samjha lena jab bhi mujhko
ro ro ke sakina yaad kare
aa jao ke sughra yaad kare
ya hussain ya hussain...
jab thandi saansein bharti hai
dil kehta hai asghar asghar
mahir ke waare waale ko
har saans pe sughra yaad kare
aa jao ke sughra yaad kare
ya hussain ya hussain...