Kanz e Aza

Ay Mere Nana Payambar

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Mahir Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

jo madine gayi zainab to na sambhla dil e muztar

to chali ashk baha kar ye kaha qabr e nabi par

lut gayi zainab

ay mere nana payambar lut gayi zainab


na wo sher aisa baradar na jigar gosha e shabbar

na wo hamshakle payambar na wo cheh maah ka asghar

lut gayi zainab

ay mere nana payambar...


chal gaya seene pa naiza chida akbar ka kaleja

wo qayamat ka samaa tha mera bhaiya tha akela

suniye ye kahani


kabhi laashe ko uthaya kabhi bachon ko bulaya

kabhi hyder ko pukara thay ajab haal mein sarwar

lut gayi zainab

ay mere nana payambar...


kabhi badna suye qaima kabhi qaime se palatna

kabhi baysheer ko takna kabhi seene se lagana

keh na sakungi


kabhi awaaz di asghar kabhi ro uthe tadap kar

kabhi moo rakh diya moo par hai mujhe yaad wo manzar

lut gayi zainab

ay mere nana payambar...


asr ke baad ka kissa soch kar dil hai dehalta

qatl jab ho gaya pyasa pisar e fatema zahra

ghash mein thay abid


mujhe aada ne sataya mere qaimon ko jalaya

jhoola baysheer ka loota meri cheeni gayi chadar

lut gayi zainab

ay mere nana payambar...


shaam o kufa ka fasana dil se mushkil hai bhulana

tha phira humse zamana qaid tha saara gharana

baal thay moo par


intezamaat bade thay saare bazaar sajay thay

sab tamashayi khade thay hum thay ay nana khule sar

lut gayi zainab

ay mere nana payambar...


na qanatein na wo qaima na wo abbas ka pehra

ek samaa shab ka darauna meri godi mein sakeena

lipti hui thi


jab hui shaam e gariban chandni phirti thi hairaan

wo khamoshi wo bayaban thay haram khaak ke upar

lut gayi zainab

ay mere nana payambar...


saqt mahir wo ghadi thi kaisi zainab pa padi thi

dar pa khamosh khadi thi pyaas sarwar ko badi thi

hashr bapa tha


tha kahin mehr e munawar to kahin tha mahe anwar

thay sabhi taare zameen par asmaan tha tahe khanjar

lut gayi zainab

ay mere nana payambar...