kya tujhse kahe haal e safar zainabe muztar
ay shehr-e-madina
laut aayi hoo mai apne bhare ghar ko luta kar
ay shehr-e-madina
athara baras naazon se maine jise paala
wo gaysuon wala
dunya se gaya seene pa phal barchi ka khakar
ay shehr-e-madina
kya tujhse kahe…
darwaze pe qaime ke mai majboor khadi thi
aur dekh rahi thi
jab sibte payambar ke galay par chala khanjar
ay shehr-e-madina
kya tujhse kahe…
thay shah jise pyar se seene pa sulaate
aur naaz uthaate
zindan ke andhere mein usay aayi hoo khokar
ay shehr-e-madina
kya tujhse kahe…
bache hi nahi saath mai kis tarha se jaaun
ye soch rahi hoo
ghar dekhungi jab khaali to sabr aayega kyunkar
ay shehr-e-madina
kya tujhse kahe…
dil tham ke rote thay saeed ahle madina
jab kehti thi dukhya
mai aayi hoo amma ke bhare ghar ko lutakar
ay shehr-e-madina
kya tujhse kahe…