Kanz e Aza

Bhaiya teri maa jayi ne yeh bhi dekha shaam ke

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

1.Bhaiya teri maa jayi ne yeh bhi dekha shaam ke baad

shaam se pehle khatl huwa tu paani aaya shaam ke baad


2. din ke ujaale mein laila ne hashr ke manzar dekhliye

noke sinha per dekh rahi hai chand ka tukda shaam ke baad


3. qasim-o-akber aun-o-mohammed khana-e-zehra ke the chiraag

soone ghar me yaad ayega har shahzada shaam ke baad


4. baba ko jab yaad karegi shimr tamache maarega

ho jayenge khoon mein tar ruksaar-e- sakina shaam ke baad


5. jalte khaime hashr ka manzar haye sitam abbas nahi

dhoond rahi hai zainab-e-muztar qaima qaima shaam ke baad


6. asghar maqtal jaate jaate khushbu apni chod gaye

maa ankhon se choom rahi hai khaali jhoola shaam ke baad