Kanz e Aza

Bin Bhai ke Ab

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ay bhaiya mere bhaiya

haye hussain pyase hussain


bin bhai ke ab kaise watan jayegi zainab

mar jayegi mar jayegi mar jayegi mar jayegi zainab


poochegi jo sughra ke kahan hai mere baba

mujhko mera baysheer nazar kyun nahi aata

sab qatl huwe kaise bata payegi zainab

bin bhai ke ab...


sab chaahne waale hai mere karbobala mein

sab godh ke paale hai isi dasht e jafa mein

yeh kehte huwe jahan se guzar jayegi zainab

bin bhai ke ab...


zindan e masayib se to laut aayi hoon bhaiya

par saath sakina ko kahan laayi hoon bhaiya

ye daagh kaleje pe na seh payegi zainab

bin bhai ke ab...


bas ek hi aaram hai is qalb e hazeen ko

bazaar ke sab zakhm abhi yaad hai mujhko

baaghi ki behan ab nahi kehlayegi zainab

bin bhai ke ab...


yasrab ke makeen poochenge sajjad se aa kar

pardes mein barbaad hua kaise bhara ghar

khoon royega sajjad to ghabrayegi zainab

bin bhai ke ab...


aayenge nazar aun o mohamed ke jo hujre

ho jayenge sab zakhm hare mere jigar ke

jab aun o mohamed ko nahi payegi zainab

bin bhai ke ab...


kya kohe sitam qalb pe nani ke girega

amma ki lehad kaamp uthegi mere bhaiya

jab neel rasan ke unhe dikhlayegi zainab

bin bhai ke ab...


kyun aayi nahi saath mein farzand tumhare

gar pooch liya mujhse ye abdulla ne aa ke

sau baar wohi waqeya dohrayegi zainab

bin bhai ke ab...


mazhar wo ghadi kaisi thi mai likh nahi sakta

mehmil se nazar aaya jo zainab ko madina

fizza ne kaha dard se mar jayegi zainab

bin bhai ke ab...