Kanz e Aza

Dil Mein Karbala Hai

A noha written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

hussain ne apna dil allah ko ata kiya

aur allah ne hussain ko laakhon dil ata kiye


ishq e khuda karbala

dars e wafa karbala

raahnuma karbala

raah e baqa karbala


gham ki dawa

haq ka pata

deen ki sada

rab ki ata


seeno mein hai karbala

zehno mein hai karbala

dhadkano mein karbala

saanson mein hai karbala


jo kabhi na ja saka karbala

ho ke jo bhi aa gaya karbala

sun sako to do dilon ki ek hi sada hai

dil hai karbala mein dil mein karbala hai

sote jaagte nigah mein haramsara hai

dil hai karbala mein...


zindagi mein aisa koi shakhs to dikha nahi

jo ye keh de karbala mein maanga aur mila nahi

dhoondhte ho tum kahan hai yahin pe la makaan

karbala hussain ki hussain ka khuda hai

dil hai karbala mein...


is qadar buland ye zameen be sabab nahi

tishnalab ki sarzameen pe koi tishnalab nahi

rizq ilm aagahi mil rahi hai zindagi

jis ke haath kat gaye yahan wo baanta hai

dil hai karbala mein...


zaayri ka jab sharaf mila hussain ki qasam

pehli baar karbala mein maine jab rakhe qadam

kaifiyat bataun kya haal e dil sunaun kya

aisa lag raha tha bas yehi watan mera hai

dil hai karbala mein...


har nabi ko karbala dikhayi hai khuda ne

karbala ki manzilat batayi hai khuda ne

zakhm ho ya ho qaza har maraz ki hai dawa

sar zameen e karbala ki khaak bhi shifa hai

dil hai karbala mein...


qarz hai yehi lahoo pe aur farz bhi yehi

majlis e hussain ko hai waqf saari zindagi

farsh e gham bichaye hum aur alam sajaye hum

bachpane mein walidayn se yehi suna hai

dil hai karbala mein...


ya zehra ya zehra ya zehra ya zehra

abad wallah ya zehra maaninsa hussaina


waada syeda se jo kiya tha wo nibhayenge

aane waali nasl ko bhi karbala sunayenge

ishq ke ye marhale tay karenge ishq se

majlis e hussain se yehi sabakh mila hai

dil hai karbala mein...


ghar mein jo alam saja rahe hai hum

majlis e aza kara rahe hai hum

har baras ye gham mana rahe hai hum

nauhe marsiye suna rahe hai hum

daawa jab kiya hai to saboot bhi diya hai

dil hai karbala mein...


zainab e hazeen ne qaid e shaam mein yehi kaha

mere laal mera bhai aur mera bawafa

sabke laashe hai wahan mai aseer hoo yahan

is liye to har ghadi labon pe ye buka hai

dil hai karbala mein...


mesum aur mazhar abidi daleel chahiye

jab jahan jise nijaat ki sabeel chahiye

usko mashwara ye do wird raat din karo

bas yehi nijaat hai agar tu keh raha hai

dil hai karbala mein...


kehte rahe ahle aza

hussain hussain hussain hussain

lab pe rahe zikr tera

hussain hussain hussain hussain

tujhse kare yuhin wafa

hussain hussain hussain hussain

tere azadaar sada

hussain hussain hussain hussain


hussain tere liye hussain tere liye

aqeeda bas ye kahe hussain tere liye

sada ye dil se uthe hussain tere liye

ye haath khalk huwe hussain tere liye

ye dil dhadakta rahe hussain tere liye