dilbande fatema pe zaalim reham na aaya
tashna labi mein tu ne mehman ka khoon bahaya
be-gor o be-kafan tha laasha shahe zaman ka
sar noke naiza par hai darbar e shaam aaya
dilbande fatema pe...
abbas tum kahan ho lo qaime jal rahe hai
beparda bibiyon pe hai aasman ka saaya
dilbande fatema pe...
asghar ko bezaban tha lekin tha khoone hyder
hurmal ne teer khaincha masoom muskuraya
dilbande fatema pe...
baazar e shaam mein jab aayi ali ki beti
toofan patharon ka chaaron taraf se aaya
dilbande fatema pe...
quran padne waale wo kaise musalman thay
tasveer e fatema ko darbar mein bulaya
dilbande fatema pe...
gulzar karbala mein aaye quran waale
afsos bekason ko pani mila na saaya
dilbande fatema pe...