ek maa ki aa rahi hai sada ay mere hussain
aaja tu meri godh mein aa ay mere hussain
bachpan mein ladkhada ke tu girta tha jab kabhi
tujhko sambhalne mein kayi baar mai giri
aati thi mere rab se sada ay mere hussain
ek maa ki aa rahi...
beta wo tere naala ho ya maa ho wo teri
tujhko na dekh sakte thay rote huwe kabhi
ab ro ke de rahe hai sada ay mere hussain
ek maa ki aa rahi...
rukhsat hua tu shehre madina se jis ghadi
nana ki qabr se ye sada maine bhi suni
beta bacha le deen mera ay mere hussain
ek maa ki aa rahi...
aayi sada falak se jo tu pahuncha karbala
shabbir ye maqam hai ta hashr ab tera
is khaak par katega gala ay mere hussain
ek maa ki aa rahi...
bachpan mein tere naaz uthaati rahi hoon mai
pehlu mein apne tujhko sulaati rahi hoon mai
ye tujhpe kaisa waqt pada ay mere hussain
ek maa ki aa rahi...
tu ne uthaya akbar o asghar ki laash ko
ibne hassan ke laasha e sad paash paash ko
ghazi ka laasha uth na saka ay mere hussain
ek maa ki aa rahi...
mukhtar ran mein bain ye karti thi fatema
majid kaleja phat gaya zehra ne jab kaha
pamaal tera laasha hua ay mere hussain
ek maa ki aa rahi...