Kanz e Aza

Hassan Hussain Pukare

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

qabr e rasool par yehi hasnain ke thay bain

nana tumhare baad na amma ne paaya chain


hassan hussain pukare ab aao ay nana

hamari amma hai zakhmi bachao ay nana


tumhare jaane se maa ko bohat aziyat hai

pahaad waqt hai har lamha ek musibat hai

lehad se uth ke galay se lagao ay nana

hassan hussain pukare...


shikasta hogaya pehlu hamari amma ka

hamara bhai wo mohsin shaheed e zulm hua

hamay na maarde humko bachao ay nana

hassan hussain pukare...


uthaya jalta hua dar jo bibi fizza ne

to dekha maykhein gadi hai badan pe amma ke

ye kis khata ki saza hai batao ay nana

hassan hussain pukare...


wo janasheen tumhara hamara wo baba

gala khuda ke wali ka rasan se baandha gaya

gala chuda ke galay se lagao ay nana

hassan hussain pukare...


kisi nabi ke bhi bachon pe kya ye zulm hua

jala ho dar kahin durra kahin tamacha laga

hum ahlebait e nabi hai batao ay nana

hassan hussain pukare...


khuda hi jaane ke kab tak sitam uthana hai

hamay to sar ko katana hai ghar lutana hai

jahan ho tum wahin hum ko bulalo ay nana

hassan hussain pukare...


ay nana qabr se dekha to hoga wo manzar

gira tha jalta hua dar jo amma ke upar

har ek zakhm pe marham lagao ay nana

hassan hussain pukare...


hassan hussain ay majid jo roye zaar o qataar

laraz rahi thi wahan qabre ahmed e mukhtar

bilak ke kehte thay bache bachao ay nana

hassan hussain pukare...