haye mazlooma fatema zehra
jaise sadme aape bibi seh gayi baba ke bin
gar ye pad jaate dino par misle shab ho jaate din
haye masooma fatema zehra
haye mazlooma fatema zehra
hai laqab siddiqa tera jaante thay ye sabhi
zulm ke darbar mein tu phir bhi tu jhultayi gayi
haq nahi paaya fatema zehra
haye mazlooma...
tere dar par khud risalat jhuk ke karti thi salam
par nahi ummat ne samjha tera mansab aur maqam
ghar jalaa daala fatema zehra
haye mazlooma...
mit nahi paaya tha bibi baap ka gham qalb se
gham naya ek mil gaya hai qatl e mohsin ka tujhe
qalb rota tha fatema zehra
haye mazlooma...
waqt e nazha apne waali se yehi faryad ki
aap ki khidmat jo poori kar na paayi ya ali
yun hai sharminda fatema zehra
haye mazlooma...
baad mere pyar se bachon ko rakhna ya ali
na kabhi mehsoos hone dena maadar ki kami
ab chali dukhiya fatema zehra
haye mazlooma...
shab ki tareeki mein mayyat ko meri le jaana tum
zaalimo ko meri mayyat par na aane dena tum
hogi mehwe buka fatema zehra
haye mazlooma...
baad mere karbala mein sheh ki nusrat ke liye
ya ali farzand ek abbas hona chaahiye
maangti hai dua fatema zehra
haye mazlooma...
zakhmi pehlu ko sambhale zabt e gham kis tarha ho
jaane kyun hasrat se dekha karti hai shabbir ko
sochti hai kya fatema zehra
haye mazlooma...
seena e shabbar ko chooma aur gala shabbir ka
choom ke zainab ke baazo ro padi be saakhta
kya khayaal aaya fatema zehra
haye mazlooma...
kehti hai fizza se bibi ay kaneez e bawafa
tere zimme zainab o kulsoom ko maine kiya
roti hai fizza fatema zehra
haye mazlooma...
khaana e hyder mein barpa ek qayamat hogayi
waqt wo aaya ke bibi kI shahadat hogayi
arsh tharraya fatema zehra
haye mazlooma...
zainab o kulsoom o fizza shabbar o hyder yahan
door kone mein khade shabbir rote hai wahan
maajra hai kya fatema zehra
haye mazlooma...
bole hyder waqte ruqsat maa ko kya rulwayenge
bole shaah amma bulayengi hamein to aayenge
ro padi jo suna fatema zehra
haye mazlooma...
sun ke awaaz e shah e deen khul gaye bande kafan
boli bibi haath utha ke aa mere gul pairahan
de rahi hai sada fatema zehra
haye mazlooma...
ek na ek din banega marqad e veeran bhi
dekhne aayenge bibi mazhar o farhan bhi
aap ka rauza fatema zehra
haye mazlooma...