Kanz e Aza

Hussain ya Maula

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

jis ne bhi dhoonda tujhe rab ko hai paaya

tu hai zameen pe mohamed ka saaya

deen e mohamed ko tu ne bachaya

zindagi saath tere bandagi saath tere

karbobala ne ye sikhaya

mai haq ke saath kahun

bas yehi baat kahun

teri wila hai sarmaya


tu hai nabi ka noore ain

hussain ya maula hussain


deene khuda ka manshoor tu hai

rasme wafa ka dastoor tu hai

ooncha jahan mein tera alam hai

kon a makan mein tu mohtaram hai

lab pe dua rahe yabnaz zahra hussain

teri adalat hai yabnaz zahra hussain

tu hai nabi ka noore ain

hussain ya maula hussain...


hurr ka muqaddar tu ne jagaya

john ko tu ne apna banaya

tu ne charaghe qaima bujha kar

sab ki wafaon ko aazma kar

aisa sila diya yabnaz zahra hussain

rab se mila diya yabnaz zahra hussain

tu hai nabi ka noore ain

hussain ya maula hussain...


sharte shifa'at teri mohabbat

sharte mohabbat teri ita'at

teri ita'at rab ki ita'at

tujhse adawat rab se adawat

dunya ka kya khabar yabnaz zahra hussain

hai kitna mohtabar yabnaz zahra hussain

tu hai nabi ka noore ain

hussain ya maula hussain...


bayyat se tera inkaar maula

ahle sitam se paikaar maula

ghayr ke laaye saare sitamgar

jeet gaya tu haare sitamgar

goonji ban mein azan yabnaz zahra hussain

pursa kari kahan yabnaz zahra hussain

tu hai nabi ka noore ain

hussain ya maula hussain...


jaati hai jaan chale jaaye hamay gham kya

raah e wafa ko kabhi chodenge hum kya

zehra se waada hum ne kiya hai

bas ye iraada hum ne kiya hai

chaahe mar jaaye hum yabnaz zahra hussain

zinda rakhenge gham yabnaz zahra hussain

tu hai nabi ka noore ain

hussain ya maula hussain...


kishte alaam se tu ne nikal kar

nok e sina ko bana diya mimbar

tu ne lahoo se maqtal sajaya

teri bahan ne zinda basaya

rote huwe kaha yabnaz zahra hussain

matam hoga tera yabnaz zahra hussain

tu hai nabi ka noore ain

hussain ya maula hussain...


shaam e ghariban bhoole nahi hum

rote huwe bacchon ki sadayein

shimr e layeen ne qaime jala kar

ahle haram ki cheeni ridayein

nok e sina par ooncha tera sar

jaari tha quran teri zaban par

jo dekha jo suna yabnaz zahra hussain

raavi ne likh diya yabnaz zahra hussain

tu hai nabi ka noore ain

hussain ya maula hussain...


waada ye tujhse karte hai ro kar

farshe aza par safdar o mazhar

ghaafil na honge teri aza se

dil ko sukoon hai aah o buka se

tujhse wabastagi yabnaz zahra hussain

ho saari zindagi yabnaz zahra hussain

tu hai nabi ka noore ain

hussain ya maula hussain...


tu hi to faatah e karbobala hai

hussain hussain hussaina

saare jahan ke labon pe sada hai

hussain hussain hussaina