Kanz e Aza

Hussain Zinda Hai Shaheed Zinda Hai

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

Hussain Zinda Hai Shaheed Zinda Hai

khuda Ka Kehna Hai Shaheed Zinda Hai

1. Kaha Tha Zehra Se Nabi Ne Ro Ro Kar

karenge Gham Sheh Ka Muhib Tere Ro Kar

azal Ka Waada Nibhaya Jaata Hai


2. Kahega Mehshar Me Yeh Khaleq-e-akbar

hai Matam-e-sarwar Najaat Ka Mehwar

hussain Ka Jo Hai Wohi Hamara Hai


3. Luta Ke Ghar Apna Hussain Kehte Hai

kata Ke Sar Apna Hussain Kehte Ha

yu'n Wada-e-tifli Nibhaya Jata Hai


4. Hussain Ke Saathi Toh Mar Nahi Sakte

kata Ke Sar Apna Woh Mar Nahi Sakte

yeh Haq Ka Kehna Hai Shaheed Zinda Hai


5. Karenge Duniya Me Hussain Ka Matam

gar Aaye Toofa'n Bhi Na Hoga Phir Bhi Kam

yeh Matam-e-sarwar Dua-e-zehra Hai


6. Hussain Ke Jaisa Na Ban Saka Koi

baya'n Hai Khaleq Ka Na Ban Saka Koi

tamaam Duniya Me Wohi Akela Hai


7. Yeh Hashmi Saber Hain Noukar-e-sarwar

ataa Hai Sarwar Ki Karam Hai Yeh Unpar

aza Ki Duniya Me Dua-e-zehra Hai