Jalti Zameen Pe Aoun Muhammad Hain Khoon Me Tar
sheh Rorahe Hain Ran Me Yeh Manzar Ko Dekh Kar
1. Zainab Ke Laal Nusrat-e-sheh Me Lade Hain Yu'n
marne Pe Jis Tarah Se Hotn Baandhe Huve Kamar
2. 1s Darja Unko Maa Ki Naseehat Ka Paas Tha
jaati Na Thi Nigaah Bhi Nehr-e-furaat Par
3. Karte Rahe Jihaad Jo Shiddath Ki Pyaas Me
zaqmo'n Se Khoo'n Tapakta Tha Maqtal Ki Qaak Par
4. Laashe Kahan Hain Bacho'n Ke Kuch Soojhta Nahi
sarwar Talaash Karte Hain Ran Me Idhar Udhar
5. Saidaniyo'n Me Rone Ka Ek Shor Tha Bapa
le Aaye Qaimagah Me Zainab Ke Jab Pisar
6. Fidya Jo Banke Hazrate Jaffar Ka Aaye The
dono Khuda Ki Raah Me Jo Kar Gaye Safar
7. Allah Na Dikhaye Kisi Maa Ko Yeh Sama
zainab Karegi Kis Tarah Ab Zindagi Basar
8. Veeraan Godh Hogayi Duniya Ujad Gayi
keh Keh Ke Bint-e-fatima Rehti Thi Nouha Gar
9. Dekhe Musalle Jis Ghadi Ek Hashr Tha Sohail
veeraan Jaise Hogaya Binte Ali Ka Ghar