kahan ho bezaba'n asghar ye rota hai jahan asghar
meri godi me sote ho, humakte aur rote ho
tumhari yaad me aksar , ye hota hai gumaa'n asghar
ali asghar mere jaani, mila na tumko yaa'n paani
rakha pyaasa layeeno ne , bulaakar mehmaa'n asghar
jidhar dekho qamoshi hai, udaasi hi udaasi hai
nigaaho me andhera hai , tumhe dhoondu kahan asghar
ye kis bekas na nouha hai, kaleja gham se phat ta hai
tumhaare gham me rote hai zameeno aasmaa'n asghar
ye kaise bezubani hai, ajab moujuz bayaani hai
tumhaari tashnakaami par , hai dunya nouhaqaa'n asghar
gaye be jurm tum maare, na aaoge kabhi pyaare
jo tum aaoge maidaa'n se, to sadqe tum pe maa asghar
jo maa karwat badalti hai, to dil se hook uth'ti hai
tum apni maa se aye beta na lo ab imtehaa'n asghar
jise dekho wo rota hai, lahu aankho se behta hai
hamaare dil pe hai dekho, ye maatam ke nasha'n asghar
sakina yaad karti hai, kabhi pani wo peeti hai
wo mujhse kehti hai amma, bataao hai kahan asghar