Kanz e Aza

Kahan Ho Maa Sadaye

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Zafar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

kahan ho maa sadayein de rahi hai ay ali asghar

tumhe dashte bala may dhoondti hai ay ali asghar


mere noore nazar ay jaane maadar aa gaya pani

tumhe bhi to bala ki tashnagi hai ay ali asghar

kahan ho maa sadayein...


tumhara khaali jhoola sab ko qaimon may rulaata hai

tumhe kho kar sakina ro rahi hai ay ali asghar

kahan ho maa sadayein...


mere qaime may ay beta tumhare dam se raunak thi

tumhare baad ab veraangi hai ay ali asghar

kahan ho maa sadayein...


chidakte kis tarha pani kahan se phool hum laate

tumhari qabr ashkon se saji hai ay ali asghar

kahan ho maa sadayein...


na apni zindagi may mai kabhi saaye may baithungi

ye waada kar ke ab maa jaa rahi hai ay ali asghar

kahan ho maa sadayein...


kabhi pyasi sakina ko koi deta hai gar pani

tumhe bali sakina poochti hai ay ali asghar

kahan ho maa sadayein...


zafar raahon may kehti thi yehi umme rubab aksar

tumhare baad kaisi zindagi hai ay ali asghar

kahan ho maa sadayein...