kehti thi ye fatema sughra
aaoge to kab aaoge
ay mere bhai ay mere baba
aaoge to kab aaoge
kehke gaye thay aayenge lene
tum ko ay meri dukhtar
chod diya kyun mujhko tanha
aaoge to kab aaoge
kehti thi ye fatema...
aun o mohamed asghar o qasim
sab ko nigahein dhoonti hai
pooch raha hai shehre madina
aaoge to kab aaoge
kehti thi ye fatema...
ghar ki veerani mein jo izafa
ho jaata hai aur shaam dhale
nauhagar hai khaali hujra
aaoge to kab aaoge
kehti thi ye fatema...
koi chiraagh jalane waala
shehre madine mein na raha
veeran hai sarkar ka rauza
aaoge to kab aaoge
kehti thi ye fatema...
roshni hogi kab hujron mein
kab veerani jayegi
ghayr raha hai mujhko andhera
aaoge to kab aaoge
kehti thi ye fatema...
subho ko rona shaam ko rona
sab mausam hai rone ke
rukta nahi ashkon ka darya
aaoge to kab aaoge
kehti thi ye fatema...
aao zafar rehan dilaasa
de dukhiyari sughra ko
karti rahi bemaar ye nauha
aaoge to kab aaoge
kehti thi ye fatema...