khat mein ye sughra ne likha kya hua
kyun nahi aate ho bhaiya kya hua
khaali jhoole ko jhulati hai rabab
jhoolne waala wo baccha kya hua
khat mein ye sughra...
kaun pooche abid e bemaar se
do peher mein saara kunba kya hua
khat mein ye sughra...
umme laila laasha e akbar ke paas
poochte hai maa ki mamta kya hua
khat mein ye sughra...
kis liye chup ho mere kadiyal jawan
moo se kuch bolo to beta kya hua
khat mein ye sughra...
poochti hai mayyat e qasim se maa
mere bacche tera sehra kya hua
khat mein ye sughra...
ro padi zainab badan ko dekh kar
sher sa bhai hamara kya hua
khat mein ye sughra...
ro pade sughra ka khat padh kar hussain
kya likhun beti yahan kya kya hua
khat mein ye sughra...
berida aale payambar hai suroor
tujhko ay ehsaas e dunya kya hua
khat mein ye sughra...