Kanz e Aza

Khayal e Sughra

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Samar Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

khayaal e sughra


khabar aayi aane ko hai khaafila

to sughra ne qalbe hazeen se kaha

tadapne se rone se ab kaam kya

tera shukriya rab ada kaise ho

ke bichde huon ko milaata hai tu

phir uth kar ye ghazi ki maa se kaha

chalo amma aaya hai kunba mera


ab mai kahan roti hoo


ujaale meri simt badhne lage

ke baba hussain aaj ghar aa rahe hai

mai baba ko dekhungi to jee uthungi

balayein sakina ki asghar ki lungi

bahot khush hoo aata hai akbar mera

ab mai kahan roti hoo...


mai baba ke jhuk kar qadam choom lungi

bhulaya mujhe unse shikwa karungi

na tum aaye baba na ghar aaye akbar

na paate hamein dayr hoti jo dam bhar

tum aaye karun kyun na shukre khuda

ab mai kahan roti hoo...


sajaalun mai akbar ka hujra zara

suna hai mera bhai dulha bana

na yaad aayi behna hai dil mein chuban

magar khush hoo layega akbar dulhan

to saaya karungi mai quran ka

ab mai kahan roti hoo...


na pyasi ho meri sakina kahin

hai pehla safar aur jalti zameen

na garmi se sookhe huwe ho galay

banalun mai sharbat sabhi ke liye

pilayenge ghar aake sab ko chacha

ab mai kahan roti hoo...


jo guzri phupi ko bataungi mai

galay mil ke amma se roungi mai

liye hongi asghar ko chadar talay

ke nanhi se jaan zer e saaya rahe

meri godh mein hoga asghar mera

ab mai kahan roti hoo...


achanak utha shor aaye haram

badhi kehke sughra elaahi karam

galay mil ke ghazi ki maa se kaha

chalo amma aaya hai kunba mera

na ro'o khudara khushi ki hai jaa

ab mai kahan roti hoo...


jo nikli to aahon ka toofan tha

nazar aaya ujda hua khaafila

jo ghash khaake wo gham ki maari giri

to naaqe se maa ki amaari giri

kabhi phir na goonji fiza mein sada

ab mai kahan roti hoo...


madine ki galyion mein ab bhi samar

ye dekha hai phat'ta hai gham se jigar

fiza saari ashkon se bheegi hui

ye kehti hai sughra to ab na rahi

hai khamosh honton pe nauha raza

ab mai kahan roti hoo...