Kanz e Aza

Maut Aayi aur

A noha written by Suroor Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

maut aayi aur ali asghar ko behla legayi

haye wo bhi teen din ka bhooka pyasa le gayi


aag qaimon mein lagi asghar ka jhoola jal gaya

ek nishani reh gayi th, wo bhi dunya le gayi

maut aayi aur...


baap ki aankhon ke aage mar gaya kadiyal jawan

seena e akbar se jab barchi kaleja le gayi

maut aayi aur...


shab ki biyahi apni aankhon mein basa kar dasht se

khoon mein lipta hua dulha ka sehra le gayi

maut aayi aur...


apne bacchon par na royi bhai ke gham ke siwa

ashq aaye bhi to zainab dil ko samjha le gayi

maut aayi aur...


khaak par tadpe hai kya kya gulbadan ghuncha dahan

subhe ashoora baharein baaghe zehra le gayi

maut aayi aur...


qaid mein bacchi ne dam toda hai is sadme ke baad

tashnagi meri mere ammu ko darya le gayi

maut aayi aur...


bhai ka gham baazoun par neel aur be-pardagi

leke kya aayi thi zainab aur kya kya le gayi

maut aayi aur...


qaid se chut kar madine jaa ke bano kya kare

zindagi ki aakhri hasrat sakina le gayi

maut aayi aur...


khaak par har umr ka laasha pada hai ay suroor

do peher mein maut ghar ka ghar ye kiska le gayi

maut aayi aur...