maut ki lori usay ran may qaza deti hai
aur maa qaimon may jeene ki dua deti hai
cheh mahine ka gala aur seh pehlu paikaan
jaane kis jurm ki ummat ye saza deti hai
maut ki lori usay...
ye hawa hai jo samajhti hai tamanna maa ki
khaali jhoola ali asghar ka jhula deti hai
maut ki lori usay...
yaad maa ko jo sataati hai ali asghar ki
aah ek bharti hai aur khaak udaa deti hai
maut ki lori usay...
dekh kar jalta hua jhoola ye kehti thi rabab
kaisi ummat hai nishani bhi jala deti hai
maut ki lori usay...
maamta ko ye tasalli bhi hai bas zindan talak
maa jo pehlu may sakina ko sula deti hai
maut ki lori usay...
ek to neend hi aati nahi maa ko asghar
is pe soye to teri yaad jaga deti hai
maut ki lori usay...
shaam ki aurtein karti thi ye abid se sawaal
dhoop may kaun hai ye kisko sada deti hai
maut ki lori usay...
raat hoti hai to zindan may maadar akbar
loriyon ki jagah ek nauha suna deti hai
maut ki lori usay...