Kanz e Aza

Mazloom Bada Hai

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

karbala kehti hai mazloom bada hai asghar

zibha maidan mein do baar hua hai asghar


haath mein taygh nahi aur ulat de faujein

jaise abbas lade waisa lada hai asghar

karbala kehti hai...


sar hai naize pe rakha aur badan reti par

haye kis haal mein bano ko mila hai asghar

karbala kehti hai...


sun ke halmin ki sada dasht mein jaane ke liye

ghutniyo shaah ke qaime mein chala hai asghar

karbala kehti hai...


asr ke aakhri sajde ke liye maula ne

apne chehre pe tera khoon mala hai asghar

karbala kehti hai...


tera ehsaan na bhoolega takallum maula

mujhko sab kuch tere jhoole se mila hai asghar

karbala kehti hai...