Kehti Bano ye maqtal me aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja
Dhu'ndti hu'n karo rehnumaai Mere Asghar ki hai qabr kis ja
Haay kaisa hua daagh dil par chain aata nahi'nMain hu'n muztar
Mujh ko deta nahi'n kuch dikhai Mere Asghar ki hai qabr kis ja
MereBachche ka koi pata de aye zameene balaa tu bataaa de
Aye falak hu'n MainTeri satai Mere Asghar ki hai qabr kis ja
Mera Shashmah Bachcha kahanhai kyu wo ankhon se Meri niha hai
Kaunsi ja hai jo Usko bhaai Mere Asghar ki hai gabr kis ja
Shab hai ghabraaega MeraBachcha kaisa maqtal me hai sab andhera
Lori dekar sulaane hu'n aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja
Koi kehta nahi'n kuch zaba'n se uth gayi kya murawat jaha'n se
Logo'n kehdo Main hu'n uski DaayiMere Asghar ki hai qabr kis ja
Tashnagi se WoUska tadapna ab bhi aankhon me hai Wo machalna
Pyaas uski bujhaane hu'n aayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja
Teer hi tha bohat jis gale par haay phera gaya Uspa khanjar
Aasma de raha hai duhaayiMere Asghar ki hai qabr kis ja
Hashr khaime me Sadiq tha barpa rote jaate the SajjadeWala
Bano kehti jo maqtal meAayi Mere Asghar ki hai qabr kis ja