Tadap ke kehti hai maqtal me Zainabe Muztar
Sitam raseeda hai bekas hai Ghamzada Khwahar
Ye haal hai ke MereSar pa bhi nahi'n chaadar
Kafan de Bhai ko kis tarha Zainabe Dukhiya
Pada hai jalti zamee'n par Hussain ka Laasha
Haram ke gird jalaalat ka uski pehra tha
Ridaaein sar se bhala kaon chheen sakta tha
Bahan ko Ghazi pa apne bahot bharosa tha
Kata ke Haath WoSota hai ab lab-e dariya
Pada hai jalti zamee'n par Hussain ka Laasha
Sahegi Zainabe Dilgeer ye alam kaise
Hai kaon paas Mere aake jo dilaasa de
Sitam ye haike na Abbas Aaye dariya se
Khadi hai dashte bala meBahan rasan basta
Pada hai jalti zamee'n par Hussain ka Laasha
Jawa'n ke seene se phal barchhi ka nikala tha
Mazaar Asghare Masoom ka banaya tha
Qadam qadam pa sitam ka pahaad toota tha
Sulagti dhoop me zakhmi badan hai besaya
Pada hai jalti zamee'n par Hussain ka Laasha
Khizaa'n hai chaaro'n taraf Fatima ke gulshan me
Hasan ka Laal bhi paamaal hogaya rannme
Shaheed hogaye dono PisarMere bannme
Nahi'n hai koi Ghareebo'n ka poochhne waala
Pada hai jalti zamee'n par Hussain ka Laasha
Hai farz jis ki muhabbat Rasool kehte the
Usi Ghareeb pa hartarah ke sitam toote
Najaf se aake khabar lejiye Khuda ke liye
Pisar hai Aapke maqtal me bekafan Baba
Pada hai jalti zamee'n par Hussain ka Laasha