Kanz e Aza

QAFELA GHARIBO'N KA QAID HOKE JAATA HAI

A noha for Darbaar e Shaam, written by Rasheed Shaheedi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Kaisa waqt badla hai kaisa ye zaman hai

Kaun Kisko batlaay Kiska Ye Gharana hai

Bekajawa unkto'n par karwa'n rawana hai

Arsh Jiska Maskan tha ab wo bethikana hai


Qafela Gharibo'n ka Qaid hoke jaata hai


Aftab ke rukh par teergi si chhai hai

Karbala ki dharti ke lab pa bhi duhaai hai

Tashnagi Shaheedo'n ki khoon me nahaai hai

Bekafan hain sab Laashe pas me taraai hai


Qafela Gharibo'n ka Qaid hoke jaata hai


Ab na aayga Lab par phir sawal pani ka

Algqama pashema'n hai sharmsaar Mashkeeza

Aur Kinaare dariya ke Muztarib hai ek Laasha

Rukh pa hai Yateemi ke Tashnagi ka sannata


Qafela Gharibo'n ka Qaid hoke jaata hai


Ek Yateem Bachchi ke zakhm kitne gahre hain

Kamsini ki raho'n me kitne zulm thehre hain

Soye kaise aankhon me zalimo'n ke chehre hain

Aankh ro nahi sakti aansuo'n pa pehre hain


Qafela Gharibo'n ka Qaid hoke jaata hai


Sab nashaniya'n jal kar khaak me huwi mismaar

Garm raakh me koi dhoondta hai kuch aasaar

Ab na khaali jhoola hai aur na Bistare Bimaar

Bekaso'n pa har lanha zindagi huwi dushwaar


Qafela Gharibo'n ka Qaid hoke jaata hai


Tashnagi hai ghurbat hai bekasi hai aahe'n hain

Dasht hai aseeri hai aur zakhmi raahe'n hain

Chaadare'n nahi'n sar par muztarib nigaahe'n hain

Justju me bachcho'n ki maamta ki baahe'n hain


Qafela Gharibo'n ka Qaid hoke jaata hai


Paay sabr me kaante raasto'n ke daste hain

Dasht me aseeri ke aabele sisakte hain

Dhoop ki tamaazat se saare zakhm jalte hain

Chashme namm se behne ko ashk bhi tarste hain


Qafela Gharibo'n ka Qaid hoke jaata hai


Izteraab hai kitna dasht ki hawao'n me

Kyun lahu umadta hai bekasi ki ankhon me

Har taraf dhuwaa'n kyun hai tashnagi ki aaho'n me

Kis qadar hai tanhaayi maamta ki baaho'n me


Qafela Gharibo'n ka Qaid hoke jaata hai


Gar Rasheed turbat me zindagi ki haajat hai

Qalb ke dhadakne ko ashk ki zarurat hai

Karbala ke pyaaso'n ka Gham badi Ibaadat hai

Zakhm Maatame Sheh ka rooh ki tahaarat hai


Qafela Gharibo'n ka Qaid hoke jaata hai