Kanz e Aza

Rasan Basta Haram

A noha for Darbaar e Shaam, written by Hayat Amrohi. Lyrics in Roman Urdu.

rasan basta haram majboor aur lachaar phirte hai

barehna sar barehna pa sare bazaar phirte hai

rasan basta haram…


galay mein tauq hai zanjeere pa chalne nahi deti

magar kaanto ke upar abide bemaar phirte hai

rasan basta haram…


kaha karte thay abid umr bhar zainab se ro ro kar

phuphi ankhon mein zindan ke dar o dewaar phirte hai

rasan basta haram…


buka karti thi sughra raton ko furqat mein baba ki

watan ko dekhiye kab sayyede abrar phirte hai

rasan basta haram…


phirayi jaati hai dar dar rasoole paak ki itrat

mahaar unton ki pakde abide bemaar phirte hai

rasan basta haram…


hayat ek ek ko hasrat se dekha karta hai pehro

kabhi jo karbala se shaah ke zawwar phirte hai

rasan basta haram…