wavaila sad wavaila wavaila sad wavaila
rasool e akram ka dilruba be-khata maara gaya
khairunnisa ka laadla be-gunaah mara gaya
rasool e akram ka dilruba...
mustafa ki laadli ne naazon se paala jise
wo sar e karbobala be-gunaah maara gaya
rasool e akram ka dilruba...
chaayi kaabe par udasi hil gaya arsh e bareen
jab hussain ibn e ali ay khuda maara gaya
rasool e akram ka dilruba...
roti hai kulsoom o zainab laasha e shabbir pe
behno ka pardes mein aasra maara gaya
rasool e akram ka dilruba...
bain karti hai sakina mai yateema ho gayi
jab mera baba sar e karbala maara gaya
rasool e akram ka dilruba...
bhai tha abbas jis ka laal akbar sa jawan
baadshahon ka wohi baadshah maara gaya
rasool e akram ka dilruba...
khairunnisa ka laadla be-gunaah mara gaya
rasool e akram ka dilruba be-khata maara gaya
wavaila sad wavaila wavaila sad wavaila