ya ababdillah, roohi wa jismi lakal fida
har laasha deta jaata hai maqtal se ye sada
roohi wa jismi lakal fida, ya ababdillah
humne hai kiya aap ki maadar se ye waada
majlis na rukegi kabhi matam na rukega
katjaye chahe haath ye katjaye ye gala
roohi wa jismi...
darte hai kahan maut se hum ahle shahadat
hai jaan se badkar tere rauze ki ziyarat
kehte huwe ye khaafile jaate hai karbala
roohi wa jismi...
zaalim na banade kahin ek aur baqayya phir maula wohi shaam hai aur aap ka kunba
izne jihad kijiye mehdi ko ab ata
roohi wa jismi...
hal min jo shabbir ne maqtal may sada di
as-haab tadapne lagay tanhaai pe sheh ki
uth uth ke deta jaata tha har laasha ye sada
roohi wa jismi...
sajjad ne baba ki jo turbat ko banaya
shabbir ke seene pe jo asghar ko sulaaya
laashe se kehke doosra laasha lipat gaya
roohi wa jismi...
darbar na jaungi kehti thi ye khwahar
rote huwe shabbir ko dekha jo sin par
labbaik kehke chal padi darbar sayyeda
roohi wa jismi...
jis waqt ke zindan may pyaso ke sar aaye
zainab ne wahan aun o mohamed ke bajaye
bhai ke sar ko godh may lete huwe kaha
roohi wa jismi...
aankhon may takallum hai wo ashoor ka manzar
ghaibat ko azkhana e shabbir banakar
paiham imam e asr ke honton pe hai sada
roohi wa jismi...