roya kahan kahan sar e mazloom e karbala
nok e sina pe jab ali asghar ka chadha
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
naize pe bezuban ke kate sar ko dekh kar
roye hussain apne gule tar ko dekh kar
roya kahan kahan...
cheeni gayi jo zainab o kulsoom ki rida
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
kaampa falak larazne lagi us ghadi zameen
aankhon ko bandh kar ke jo roye hai shaahe deen
roya kahan kahan...
ghazi ka sar jo gardan e rahwaar se bandha
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
kehte thay shaah ay mere abbas as salaam
arsh e bari pe hai tera ehsaas as salaam
roya kahan kahan...
jab jaanibe sakina badha shimr e behaya
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
sheh jaante thay zulm sakina pe dhayega
bacchi ko mere maar ke zaalim rulayega
roya kahan kahan...
bacchi ko jab tamache layeen maarne laga
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
kehte thay shaah meri hazeena ko chod de
zaalim khuda ko darr ke sakina ko chod de
roya kahan kahan...
kaano se khoon bali sakina ke jab baha
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
baba bachao bali sakina ne jab kaha
naize pe phoont phoont ke roye shahe huda
roya kahan kahan...
baandhi gayi jo oont pe sarwar ki mehlekha
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
chalta tha oont chilta tha bacchi ka badan
rote thay beqarari mein us waqt shahe zaman
roya kahan kahan...
kaanto pe shaahe deen ka bemaar jab chala
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
abid ke hausle ko badhate rahe hussain
aankhon se khoon ke ashk bahate rahe hussain
roya kahan kahan...
jab khafila aseeron ka bazaar mein gaya
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
pathar chala rahe thay sabhi baani e jafa
apne lahoo mein dooba tha kunba rasool ka
roya kahan kahan...
kufe ke dar pe jo pahuncha kunba luta hua
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
ro kar hussain kehte thay muslim mai aagaya
tum meri peshwayi ko aaye na bawafa
roya kahan kahan...
laasha latak'ta dekha jo muslim ghareeb ka
naize pe sar hussain ka us waqt ro pada
laasha latak'ta dekha jo bhai ka baam par
waiz tadap ke roye shehenshahe behrobar
roya kahan kahan...