Kanz e Aza

Tera Sehra Na Dekha

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

jawan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar

tera sehra na dekha tera sehra na dekha


meri aankhon ke taare ay mere pyare ali akbar

tera sehra na dekha tera sehra na dekha


dil e maadar mein athara baras se ye tamanna thi

mai apne haathon se ek din tujhe dulha banaungi

teri dulhan ko mai apne kaleje se lagaungi

jo mannat maani hai maine wo sab mannat badhaungi

magar kya thi khabar roungi mai tere janaze par

tera sehra na dekha...


bade armaan thay dil mein bahot kuch maine socha tha

balayein leke aankhon se lagaungi tera sehra

teri baaraat jab ghar se chalegi ay mere beta

to mai abbas se keh dungi parcham ka kare saaya

magar na jaane kis ne bad-nazar daali tere upar

tera sehra na dekha...


mujhe pardes mein taqdeer ne ye din bhi dikhlaya

mai zinda reh gayi aur mar gaya kadiyal jawan beta

meri aankhon se ay akbar dikhayi kuch nahi deta

mai dekhun bhi to kaise dekhun tera chand sa chehra

aray toota hai gham ka aasman dukhiyari maadar par

tera sehra na dekha...


kaleja phat gaya maadar ka us dam ay mere jaani

suna jis dam ki tumko marte dam bhi na mila pani

bade be-rehm hai karbobala mein zulm ke baani

kisi ne haye tasveer e mohamed bhi na pehchani

chalaya zaalimon ne haye mere qalb pe khanjar

tera sehra na dekha...


jawan farzand se maa baap ko khaaliq na chudwaye

ye manzil wo hai ki dushman ki aankhon mein bhi ashk aaye

kisi ka naujawan beta sina seene pe na khaaye

zaeefi mein jawan bete ki mayyat baap na laaye

hamay kismat ne dikhlaya qayamat khayz ye manzar

tera sehra na dekha...


padar ki bekasi ay laal dekho to zara uth kar

jhukaye sar bilak kar ro rahe hai sibte paighambar

sahara kaun de aa kar nahi ab monis o yawar

chacha abbas bhi hote to baazu thaamte aa kar

tere baba bahot rote hai ay beta yehi keh kar

tera sehra na dekha...


jawan ki laash pe waiz yehi maadar ka nauha tha

mujhe pardes mein laa kar meri taqdeer ne loota

mere armaan mitti mein mile ujdi meri dunya

teri shadi ki hasrat thi magar dekha tera laasha

ye gham sehne se pehle mar gayi hoti teri maadar

tera sehra na dekha...