Kanz e Aza

Ya Janabe Sayeda

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

al madad sayyeda al madad fatema

hum azadaron ki aap se hai ilteja

ya janabe sayyeda ya janabe sayyeda


har hussaini se rahe door har marz o bala

ya janabe sayyeda


waqt e imdaad hai aafat ki ghadi hai bibi

maut ban kar ke bala sar pe khadi hai bibi

al madad fatema al madad sayyeda

jaaye ghamkhawar kahan aap ke dar ke siwa

ya janabe sayyeda...


hai bahot paas mein ab maahe aza shehzadi

har azadaar ye karta hai dua shehzadi

al madad fatema al madad sayyeda

ek ishara kar do door ho jaaye waba

ya janabe sayyeda...


jisne aulaad bhi bechi hai moharram ke liye

wo pareshan hai shabbir ke matam ke liye

al madad fatema al madad sayyeda

jald imadad karo phir biche farshe aza

ya janabe sayyeda...


aap ko zainabe muztar ki qasam ya zahra

kar do sarwar ke ghulamon pe karam ya zahra

al madad fatema al madad sayyeda

bakshdo ay bibi hai agar koi khata

ya janabe sayyeda...


haath aur payr bahot maar chuki hai dunya

la dawa hai ye maraz haar chuki hai dunya

al madad fatema al madad sayyeda

sadqa hasnain ka do ab mile sab ko shifa

ya janabe sayyeda...


hum ko maloom hai hum aaye hai matam ke liye

hum ko allah ne bheja hai isi gham ke liye

al madad fatema al madad sayyeda

ye ibadat hum se hone paaye na qaza

ya janabe sayyeda...


hum agar aap ke bacchon ko na ro payenge

bakhuda chain se ek pal bhi na so payenge

al madad fatema al madad sayyeda

ab madad jald karo hai ye waiz ki dua

ya janabe sayyeda...