YA RAB YEH FATIMA PA HAI KAISA SITAM HUA
Ummat ne khoob ajre risalat aada kiya , Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua , Baba sitam hua mere , baba sitam hua
Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua , 1) Aagosh me khatija ke naazo se thi pali , Atthara(18) saal hi me asaa thaam kar chali , Laqte dile Nabi pa yeh kaisi hui jafa
Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua , 2) Hasnain ka jo haal hai dekha na jayega , Is kamsini me daagh yeh kaisa unhe mila , Nouha labo'n pa unke hai maa hogayi juda
Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua , 3) Furqat me Maa ke roti hai zainab jigar figaar , Amma ko yaad karke hai kulsoom ashk baar , Zahra ke hai janaze pa manzar ek hashr ka
Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua , 4) Nikla jo Fatima ka janaza bashoro shain , Humraah sarbarehna chale hai Hasan Hussain , Tareeke shab ne pardah janaze ka khud kiya
Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua , 5) Ummat ke zulm sehgayi gayi binte Nabi magar , Saaya nahi hai aaj bhi zahra ki Qabr par , Banjaye roza aapka apni hai yeh dua
Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua , 6) Kaise bayaan ho guzri jo moula ke Qalb par , Jaari the ashk aankho se chalni hua jigar
pahlu ka zaqm dekhke dil tukde hogaya
Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua , 7) Yeh matami Hussain ke dete hai ab sada , Gar izn mile aapki marqad pa aane ka , Aayenge noha padhte hue Nasere Aza
Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua , 8) Likha jo gham me aapke ay biz'atur Rasool , Hyder ka noha sunke sabhi dil hue malool , Aate hai taaziat ke liye saare Ambiya
Ya Rab yeh fatima pa hai kaisa sitam hua ,