Ya rasool Allah Ya Habeeb Allah
Apka pyara nawasa karbala me lutgaya
Kya bhula baithi thi ummat aayaye tatheer ko
mezbaa'n bankar bulaaya mehmaa'n shabbir ko Kyu musalmaa'n hoke phir mehmaan ko dhoka diya
Ya rasool Allah Ya Habeeb Allah
Raahe haq me goud ke paalo piya ghar dediya
bayyate fasiq na ki haq ke liye sar dediya
sar magar islam ka shabbir ne uncha kiya
Ya rasool Allah Ya Habeeb Allah
Ahle haq batil ki taqat se kabhi darte nahi
jiska maslik ho shahadat wo kabhi marte nahi
hum hussaini waale hai duniya hame samjhi hai kya
Ya rasool Allah Ya Habeeb Allah
role tu bhi uske gham me aye dile qasta jigar
jinke gham me roraha hai aaj tak jin o bashar
wo hasan ki jaan aur zehra ka dilbar lutgaya
Ya rasool Allah Ya Habeeb Allah
Karbala me sar kataaya fatima ke laal ne
aasiyou ko baqshwaaya fatima ke laal ne
waqte aaqir zeere khanjar shukr ka sajda kiya
Ya rasool Allah Ya Habeeb Allah
wo khuda ki zaat par jo khoum me de ye yaqeen
kasrate aatish hargis khouf khasakte nahi
aaj bhi leti hai duniya imtehaa to kya kiya
Ya rasool Allah Ya Habeeb Allah
Isko kehte hai saqawat sabr iska naam hai
haq parasto ke liye istar se ek paighamm hai
kar sada nalou se ruswa ye sabaq humko mila
Ya rasool Allah Ya Habeeb Allah