Kanz e Aza

Har darood aur har salaam

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


tapti wo zameene karbala

teero se channi badan hua

sajda wo tere hussain ka

hashr tak na bhoola jayega


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Pota tera che mahine ka

isne kaam kaisa kardiya

jab laga hai teere hurmala

zere lab hai muskuradiya


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Wo tera Abbase bawafa

jispe ki layeeno ne jafa par alam ko girne na diya

Mashke sakina ko bhar liya


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Mashk chidi paani behgaya

shaane kate gore se gira

Gazi ne tab sheh ko di nida

kehta raha aayiye moula


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Bhai ko bhai ne dekha

kaise kahu baat kya hua

naame wafa zinda kargaya

haaye Alamdar margaya


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Ek aur pota wo tera

jo bana tha ran me dulha

iska tukde hogaya lasha

teri poti hogayi bewa


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Tera Akbar mailaqa

barcchi ka phal seene pa khaaya

Aediyaa ragadne wo laga

baap dekhta hi rehgaya


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Kis tarah bayaa'n kare koi

Aah shah ki wo bekasi

kaise uthe lash bete ki

roti thi nehre furaat bhi


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Jaffare tayyar ke pote aur the zainab ke laadle

ladte ladte tere nawaase

hogaye qurbaan wo pyaare


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


teri bahu aur betiyaa'n

phirti thi dar dar kaha kaha'n

Berida thi shahzadiyaa'n

Aisi qaidi aur wo zindaa'n


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Tera pota abide bimaar

bediyaa'n aur touq qardaar

zulm o sitam the beshumar phir bhi lab pe shukre kirdegaar


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Teri wo mazloom sakina

gham se bhara jiska tha seena

maarta tha shimr kamina

Baliya'n bhi baccchi ki cheena


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Yaad karke pidar ko

kehti thi Hamesha wo roro

marti hoon mai baba kaha ho

haal mera aake to dekho


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Zainabe dukhiya teri beti

Kaam wo azeem kargayi

Har jagah wi khutbe sunaati

Ali Nabi Hussain bangayi


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Zindabaad Abbas Ka Alam

Zindabaad hussain ka ye gham

Hashr talak shahzadi hum

karte rahe shah ka matam


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam


Hai zaheer tumse multaji

nazre karam humpe ho bibi

shah ke gham ke siwa kabhi

koi gham na ho mile khusi


Har darood aur har salaam

Madare Hussain tere naam