Ye kiska Alam utha ye kiski nishaani hai
lipti hui parham se ek gham ki kahani hai
bache shahe wala ke do roz se pyaase hai aur saamnne ankho'n ke behta hua paani hai
Ankho'n me pade halqe aur kaante zabano par
dam tod na de bacche wo tashna dahani hai
Aye khuwate dil tooti sarwar ko sahaara de
Peeri me jawa'n bete ki lash uthaani hai
Jab yaad teri aaye ankho'n se lahu tapka
besheer teri kitni purdard kahani hai
laila se koi kehde ab dekhle jee bhar ke
mitne ko koi dam me akbar ki jawaani hai