sada e matame shabbir aaj tak na dabi
ghuroor toot gaya kisne kab suna hoga
ye kisne kaha matame shabbir na hoga
hai khwaab jo sharminda e tabeer na hoga
ye kisne kaha matame..
jo bughz hai sheh se usay tum laakh chupao
kya naam e aamaal mein tahreer na hoga
ye kisne kaha matame..
jo bayyat e baatil ke liye sar ko jhuka de
wo laak pade chehra e tatheer na hoga
ye kisne kaha matame..
wo khud na rahe naam hai allah ka baaqi
jo kehte thay ab nara e takbeer na hoga
ye kisne kaha matame..
jis jis ne dukhaya hai dil e fatema zahra
kya hashr mein wo layakh e tazeer na hoga
ye kisne kaha matame..
jaate hai to shabbir ke hamraah hai asghar
lautenge to aaghosh mein baysheer na hoga
ye kisne kaha matame..
jis tarha phiraye gaye dar dar haram e shaah
us wajhe se ye zaahir e tauqeer na hoga
ye kisne kaha matame..
bemaar ko ghash aa gaya zindaan e bala mein
kuch dayr to ab nauha e zanjeer na ho ga
ye kisne kaha matame..