YE MATAM HAI ZEHRA KI DUA
HOGA NA KABHI YE HUM SE JUDA
Aye fatehe karbal ibne Ali
Is deen pa inayath hai teri
Jo tune hayaat isko bakshi
Hai aaj bhi ye bas haq ki sada
Ye matam hai Zehra ki dua
Jab Aon-o-Mohammed run ko chale
Lardte hi rahe bhuke pyase
Aur haq ke liye qurbaan huwe
Lashon pa wo Zainab ka sajda
Ye matam hai Zehra ki dua
Maidaa’n ko chale jab ibne Hasan
Pamaal huwa maqtal mein badan
Aur bewa huwe lamhon ki dulhan
Tha khaimai Shai mein hashr bapa
Ye matam hai Zehra ki dua
Ham Sshakl-e-Nabi Akber sa jawaa’n
Usko jo lagi seene mein sinaa’n
Seene se tha khoo’n ka darya rawaa’n
Ye bhi hai samaa’n Shai ne dekha
Ye matam hai Zehra ki dua
Parde ka muhafiz aur saqqa
Pani ke liye darya ko chala
Aur kat gaye shane mashk chida
Tha sab ke labon par wawaila
Ye matam hai Zehra ki dua
Hal min ki sada jis dam goonji
Asghar ki ajab thi be chaini
Dikhlaye tadap wo maidaa’n ki
Wo teer ki zad par nanha gala
Ye matam hai Zehra ki dua
Jab waqte Asr ka qareeb aaya
Karne lage Sarwar wada wafa
Aur kaanpi zamene karbobala
Sajde mein kata Sarwar ka gala
Ye matam hai Zehra ki dua
Sar tan se juda jab Shai ka huwa
Sholon me ghira har ek qaima
Tha ghash mein wahin bimaar pada
Masnad bhi jali bistar bhi jala
Ye matam hai Zehra ki dua
Din dhal gaya aur jab sham huwe
Aur sham-e-gharebaan jab aye
Karti thi talaya Binte Ali
Maidaa’n mein tha har su sannata
Ye matam hai Zehra ki dua
Masoom Sakina roti hai
Ro ro ke jaa’n wo khoti hai
Be chain har ek pal hoti hai
Kehti hai kahan ho aye baba
Ye matam hai Zehra ki dua
Hai haq-o-sadaqat ki ye sada
Ye gham na kabhi ruk paye ga
Jannat ka yehi hai ek rasta
Is gham ki nigehbaa’n hai Zehra
Ye matam hai Zehra ki dua
Hai Shai ke azadaron ki sada
Bulwalo sab ko karbobala
Dikhla do Sarwar ka rauza
Rauze pa padhen hum ye nauha
Ye matam hai Zehra ki dua
Ashkon se Sohail ab karke wazu
Is gham mein bahao apna lahu
Pohunche ye jahan mein gham har su
Dengi Zehra hum sab ko dua
Ye matam hai Zehra ki dua