ZAINAB NE KAHA SHAI KE ALAMDAR KAHAN HO
MAI HOCHUKI AAFATH MEIN GIRAFTAAR KAHAN HO
Bikhre huwe maidan mein Qasim ke hai tukde
Katwake gale Aun-o-Mohammed bhi sidhaare
Ab koi nahi mera madadgaar kahan ho
Dil mein thi mere Shaadi-e-Akber ki tamanna
Soncha tha mere laal ko baandhoongi mai sehra
Katwa chuke sar Akbar-e-Jarrar kahan ho
Aye Sher-e-Jari jung ka armaan tha tumko
Kya sote ho dariya pe zara uthke to dekho
Bhai hai mera barsare paikaar kahan ho
Chalta hai mere bhai ke ab halq pe khanjar
Khaata nahi bekas pe taras koi sitamgar
Aye Quwwate Sibte Shahe Abraar kahan ho
Qaimo’n ko jalane ke liye aaye hai Aada
Pardes mein ab koi nahi poochne wala
Ghash mein hai pada Abid-e-Beemar kahan ho
Hai noke sina par mere bhai ka kata sar
Phat-ta hai mera gham se jigar aao baradar
Beparda hai Zainab sare baazar kahan ho
Neele hain tamachon se bohot bacchi ke rukhsaar
Ro roke Sakina yahi kehti hai har ek baar
Ab koi nahi monis-o-ghamkhaar kahan ho
Baazu mein rasan baandke lejate hain humko
Kis tarha sitam karte hain zalim zara dekho
Beemar hai ab qafela salar kahan ho
Kehti thi Nazar roke yehi Shah ki Hamsheer
Imdaad ka hai waqt karo koi to tadbeer
Jana hai mujhe sham ka baazar kahan ho