ZINDAAN MEIN KOHRAAM MACHA HAYE SAKINA
Kya zulm ki shiddat thi ke kurta bhi jalaya
Chheene gaye kaano se gohar qaidi banaya
Dar dar tujhe baazar mein beparda phiraya
Rassi mein bandha tera gala Haye Sakina
Karbal mein tujhe khoon ke dariya nazar aaye
Ghere huwe rehte the tujhe dard ke saaye
Kaa’n-te teri raaho mein sitamgar ne bichhaye
Tar khoon se kurta tha tera Haye Sakina
Rone ki saza banke mila tujhko tamacha
Is tarha yateemi ka mila tujhko dilasa
Jee bhar ke layeeno ne tujhe haye rulaya
Us waqt na tha tera chacha Haye Sakina
Sajjad ke haatho pa teri laash uthi hai
Marqad bhi usi shaam ke zindaa’n me bani hai
Wallah dil-e-zainab pa qayamat ki ghadi hai
Ek aur naya daagh mila Haye Sakina
Baad-e-Shahe dee’n chain se sone nahi payi
Jee bharke kabhi baap ko rone nahi payi
Wo khauf tha moo ashko se dhone nahi payi
Har zulm saha sabr kiya Haye Sakina
Sar baap ka godi mein liye karti thi zaari
Kaano se tapakta hai lahu gaal hai zakhmi
Jeene ki tamanna nahi ab maut hai pyaari Phir kar gayi duniya se qaza Haye Sakina
Bano ka jigar phat gaya jab dekha ye manzar
Aghosh-e-Sakina mein rakha hai sar-e-sarwar Aur khuld mein pohonchi hai use chhodke dukhtar
Deta hai Ali dil ye sada Haye Sakina