zindaane shaam kis lie maatam sar hai aaj
hai yateeme shaah ka ghul kyu bapa hai aaj
kya qaid me hussin ki pyaari ne ki qaza
kiska zamee'n pe nanha sa lasha pada hai aaj
dar kar nahi lipat' ti hai amma se meri jaa'n
shimre shaqi sarhaane tumhaare khada hai aaj
soti ho qaak par jo meri jaan chain se
bibi gale ka dard bhi kuch kam hua hai aaj
shikwa hai ab zabaa'n pe na kaaano ke dard ka
haye haye na kuch tamaacho na lab par gila hai aaj