zindan hai sakina hai andhera hai jafa hai
kya qabr ka manzar hai ujaala na hawa hai
neend aati nahi bachon ko jab tak na ho maadar
paas iske na maadar hai na baba na chacha hai
kya khabr ka manzar hai…
zindan hai sakina hai…
tumko nahi kuch dard ka ehsaas kahan ho
ghayre hai mujhe ranj o alamo yaas kahan ho
mar jaungi zindan ke andhere may tadap kar
ay mere chacha jaan abbas kahan ho
zindan may kise bali sakina ne pukara
us laasha sare karbobala uthne laga hai
kya khabr ka manzar hai…
zindan hai sakina hai…
abbas chacha aayenge ghar leke chalenge
ab zulm e yazeedi ka bharam toot raha hai
kya khabr ka manzar hai…
zindan hai sakina hai…
kuch moo se kaho meri masoom sakina
ye maa teri khamoshi pe qurban sakina
ab rone ki awaaz bhi aati nahi beta
lori to nahi deta ye zindan sakina
khamosh ho tum kyon nahi baba ko bulaati
tareeki zindan may ye zainab ki sada hai
kya khabr ka manzar hai…
zindan hai sakina hai…
mai bali sakina ka azadar hoo rehaan
nauhe ka har ek sher sakina ki ata hai
kya khabr ka manzar hai…
zindan hai sakina hai…