Kanz e Aza

Zindan ki Shaam

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Noor Ali. Lyrics in Roman Urdu.

yaad sajjad ko aati rahi zindan ki shaam

umr bhar khoon rulaati rahi zindan ki shaam


jab talak aati rahi kaano mein siski ki sada

khaak zindan mein udaati rahi zindan ki shaam

yaad sajjad ko aati rahi...


qaid khane mein bas ek shaam qayamat guzri

phir to har shaam hi aati rahi zindan ki shaam

yaad sajjad ko aati rahi...


jaise zaalim ke tamachon ne sataya tha usay

yun sakina ko sataati rahi zindan ki shaam

yaad sajjad ko aati rahi...


gham sakina ne jo raahon mein sahay kam to na thay

gham magar aur badhaati rahi zindan ki shaam

yaad sajjad ko aati rahi...


sheh jise lori sunaate thay usi bachi ko

maut ki lori sunaati rahi zindan ki shaam

yaad sajjad ko aati rahi...


qabr e masooma pe zainab o sajjad ke saath

sog har shaam manaati rahi zindan ki shaam

yaad sajjad ko aati rahi...


gham jo abid ne sahay shaam ke bazaaron mein

saare gham yaad dilaati rahi zindan ki shaam

yaad sajjad ko aati rahi...


ya hai abid ko khabar ya hai khabar zainab ko

wo sitam kya thay jo dhaati rahi zindan ki shaam

yaad sajjad ko aati rahi...


maadar e asghar baysheer ko ay noor ali

khwaab mein aake daraati rahi zindan ki shaam

yaad sajjad ko aati rahi...