AAO ABBAS AB CHALE AAO, AAO ABBAS AB CHALE AAO
AB LAYEE’N SAR SE CHHEENTE HAIN RIDA, AAO ABBAS AB CHALE AAO
Apne noor-e-nazar fida karke
Maine haq ko adaa kiya aise
Haal dilka batau’n mai kaise
Mujhko pursa do aake baccho ka
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Tashnalab bezuba’n Ali Asgher
Khaake bejurm teer gardan par
Chal basa run mein bano ka dilbar
Uska qaime mein jalgaya jhoola
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Haal kya ho bayaan Qasim ka
Jiska pal mein bikhar gaya sehra
Haye kaise ujad gayi duniya
Bain kisse kare bhala kubra
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Noujawa’n hum shabehe Paighambar
Tha badan jiska jalti reti par
Muztarib hoke rote the Sarwar
Gham se marjaye na kahin Laila
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Aao Imdaad ko mere saqqa
Sote ho chain se lab-e-dariya
Ab nigehbaa’n hai kaun bewo’n ka
Sabka dushwaar hogaya jeena
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Bain karti hai ye Sakina jaa’n
Aao ammu mere gaye ho kahan
Maarte hain tamache be-imaa’n
Kya gawara hai ye tumhe bhaiya
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Dekho Abid ka haal-e-zaar utho
Kis qadar hai ye beqaraar utho
Pehne hain tauq-e-khaardaar utho
Zulm uspar hai har qadam pa naya
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Lut gaya ghar huwe aseer haram
Peet ke sar ko karte the matam
Thi labo’n par fughaa’n yahi paiham
Ab nahin koi poochne wala
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Taziyano’n ki hai jafa hum par
Shaad hote hain ispa ahl-e-shar
Sharm se jhuk rahi hai meri nazar
Inteha ko pohonch gayi eiza
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Nargha-e-zulm mein hai Sibt-e-Nabi
Kabhi patthar laga kabhi barchhi
Kis qadar Shai pa ab hai tanhayi
Zer-e-khanjar tadapta hai laasha
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Haye darbar-e-shaam ka manzar
Kargaya zakhm wo mere dil par
Pesh-e-hakim thi Aal-e-Paighambar
Hai rasan mein gala Sakina ka
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha
Gham mein Sarwar ke jo kare matam
Degi Zehra dua unhe paiham
Zeest apni to hai unhi ka gham
Taba mehshar Sohail ho ye sada
Roke Zainab ne dasht mein ye kaha