aao adab se hyder e safdar ke shehr mein
jaana agar ho izn e payambar ke shehr mein
jee chaahta hai waadi e makkah se poochlun
bigda kahan se aayi payambar ke shehr mein
aao adab se hydere...
inkaar se hussain ne aisi lagayi aag
sholay uthe yazid e sitamgar ke shehr mein
aao adab se hydere...
ye inquilaab dekha hai naad e ali baad
darwaza toota jaata hai khyber ke shehr mein
aao adab se hydere...
mashkeeze mein sameint ke darya ko le gaya
hyder ek aur dekha hai hyder ke shehr mein
aao adab se hydere...
jab se ali ne toda hai josh e jihaad mein
darwaza phir saja nahi khyber ke shehr mein
aao adab se hydere...
milta nahi hai fauj e ababeel ka jawab
mabood e kayenat ke lashkar ke shehr mein
aao adab se hydere...
hurr aaya aur ho gaya sadqe hussain par
khatre ki kya thi zaat samandar ke shehr mein
aao adab se hydere...
yak jaan hai aaj panjetan e paak dekhiye
hai kayenat noor ki chadar ke shehr mein
aao adab se hydere...
sunte hai la-fata ke qaside ke saath saath
talwaar utar ke aagayi hyder ke shehr mein
aao adab se hydere...
dushman ke dil jalaata hua aasman se
taara utar ke aa gaya hyder ke shehr mein
aao adab se hydere...
tashnalabi ne hadh ke jigar phaad daale hai
ek paak kali ye phool ki pathar ke shehr mein
aao adab se hydere...
mahir najaf ki khaak se hum apne waaste
kaaba bana ke baithe hai hyder ke shehr mein
aao adab se hydere...