ajal se bachane ko aansu bahaye
magar maa ki godhi may asghar na aaye
ajal se bachane ko...
ye himmat thi asghar ki dunya pa jaye
hasi aa gayi aur aansu na aaye
ajal se bachane ko...
wo saahil par abbas bharte hai pani
magar behti maujon se daaman bachaye
ajal se bachane ko...
chale aao asghar tadapti hai maadar
akela hai jhoola kahan tak jhulaye
ajal se bachane ko...
na asghar may dam hai na raazi hai maula
ye kya dekhte hai nigahein jhukaye
ajal se bachane ko...
ajal poochti hai shah e deen se ran may
kise laa rahe hai aba may chupaye
ajal se bachane ko...