haye asghar kya karoon ay jane madar kya karoon
thi ye bano ki fughan dunya mein reh kar kya karoon
maut ne barbad kar dala mera ghar kya karoon
hai rage jaa ke liye har sans nashtar kya karoon
hasraton ka dil mein ek barpa hai mehshar kya karoon
haye asghar kya karoon...
ay mere noor e nazar tumko agar pa'ungi mai
dekh lena raat bhar seene se lipta'ungi mai
surk phoolon se chaman gulshan ke mehka'ungi mai
ab na bhejungi tumhe mai ghar se baahar kya karoon
haye asghar kya karoon...
tum samajhte ho yahan se apne ghar ja'ungi mai
chor kar tanha tumhe beta kidhar ja'ungi mai
qabr se takrake sar jangal mein mar jau'ngi mai
phayr loon kyon na galay par apne khanjar kya karoon
haye asghar kya karoon...
kuch nahi tum ko khabar sheh ka makaan loota gaya
sayedde abrar ka ran mein makaan loota gaya
dashte ghurbat mein hussaini kaarwan loota gaya
ab na akbar hai na abbase dilawar kya karoon
haye asghar kya karoon...
maut ne khud loriyan di neend laane ke liye
ran mein aaye zalzale jhoola jhulane ke liye
tum chale maidan mein kaise teer khane ke liye
ab tumhe turbat se gehware mein laa kar kya karoon
haye asghar kya karoon...