Kanz e Aza

Kaise Na Nikle Aankh

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mahir Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

kaise na nikle aankh se aansu

aur honton se haye

mere nabi ka pyara nawasa

sajde may maara jaye

kaise na nikle aankh se...


dharti kya aakash bhi larze

dard se nadiya karwat badle

pyasa baalak pani ke badle

teer gale par khaaye

kaise na nikle aankh se...


qaimon may kohraam macha hai

akbar akbar ek sada hai

paala hua athara baras ka

seene pa barchi khaaye

kaise na nikle aankh se...


jalti zameen par laash padi hai

aisi shaadi nahi suni hai

khoon ki boondon se qasim ka

sehra goondha jaaye

kaise na nikle aankh se...


aake madine chain na paaya

ro ke guzaara saara zamana

bhai ki baatein karti zainab

qabr e nabi par jaaye

kaise na nikle aankh se...


raat ka sannata hai darona

hoo ka jangal koi na apna

laash se lipti bali sakina

roye aur ghabraye

kaise na nikle aankh se...


khoon may dooba chappa chappa

maara gaya hai shayad saqqa

yasrib ka shehzada dekho

nehr pa dauda jaaye

kaise na nikle aankh se...


mere aansu wo hai aansu

mahir ajr e payambar aansu

ho jo kisi ke aise aansu

saamne mere aaye

kaise na nikle aankh se...