Kanz e Aza

Rahbar Ek se Ek

A noha written by Mahir Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

rahbar ek se ek rahnuma ek se ek

silsila noor e imamat ka chala ek se ek

rahbar ek se ek...


ek may bhi na mili boo e wafa e abbas

phool to gulshan e aalam may khila ek se ek

rahbar ek se ek...


ek sar de ke gira doosra sar le ke bada

tez yun raah e shaadat may chala ek se ek

rahbar ek se ek...


panjatan paak ne dekha jo iraada hurr ka

bakshwane lage sab hurr ki khata ek se ek

rahbar ek se ek...


paaye hyder pa zara aa ke haram may dekho

sar jhukaye hai zamane ke khuda ek se ek

rahbar ek se ek...


yuh kiya ibne mazahir ne zaeefi may jihad

ran may dikhla di jawani ki ada ek se ek

rahbar ek se ek...


laakh haa'il hue shamsheer o sina o khanjar

kissa e karbobala kehta raha ek se ek

rahbar ek se ek...


zaairon se kaho aahista qadam rakh ke chalo

sone wale hai tahe khaak e shifa ek se ek

rahbar ek se ek...


fatema royi ali roye mohamad roye

gham e shabbir may barsi hai ghata ek se ek

rahbar ek se ek...


koi aaya na nusairi ke khuda teri tarha

aaye kaabe may zamane ke khuda ek se ek

rahbar ek se ek...


zakir o shayar o salik hai hami may mahir

apna kunbe may bhi maddah huwa ek se ek

rahbar ek se ek...